Friday, July 20, 2007

Ek panghat........


THIS ONE IS MEANT FOR ONLY THOSE WHO ARE POETIC AT HEART,
else it will seem to boring,rather just set of ryming word,hope u understand it.......


ek panghat ki mein baat likhoon,
kutch vyarth likhoon kutch khas likhoon,
iski ek baat badi nirali hai,
kyon barish mein bhi yeh khali hai?
jab roj dharti ma,suraj ki daah sookhti hai,
na jane kitne rahgiroon ko yeh , jane se rookti hai,
jahan door door tak ,is vishal marubhumi par ek ghas nahi,
sach poocho to sahad ke sagar mein ,iski boond si mithas nahi,
door khade mujhe ,ye adsukha panghat,dharti ka saakh dikha,
par paas gaya jab mein iske,aag nahi bas raakh dikha,
sheetalta tarasti iski sookhi bandar ka kya kehna,
bejan iski oath mein bas tapna,aur dhoop sehna,
sach poocho to yeh kavita bas ek panghat tak nahi seemit hai,
iski dararein muk nahi,saras hai,aur jivit hai,
hai hamara bhi antarman duniyadari ki barish mein suukha,
ek pal ata hai mauj bhara,duja reh jata hai ruukha
kagaj ki kashti naav bani,barish mein kab tak tik payegi,
jab tak pani ki boond ko rahi samajh,khud par na bithlayegi,
hai vyarth pasara bahut yahan,do paise ki batoon ka,
din to din bhi aise lage, jaise ho dewana ratooon ka,
aap badlo ya na badlo,ye door,zamana badal jayega,
kabhi dil khush hoga,kabhi kabhi dehel jayega,
mein kehta hoon ek baat suno,aye jo musibat tumpar,
has dena aankh mein aankh mila,chale jayegi,vo bhi haskar,
dard mitata nahi davakhane se,mitta hai dava ko khane se,
kimti samay jo nikal gaya,fir kya matlab pachtane se,
duniya badi durangi hai,har koi khata hai dhokha,
pet to logon ka bhar jata hai,par man reh jata hai bhookha,
mein shayad jo sooch raha hoon,poora na shabdoon mein likha paaun,
is panghat ki tapan ka,jeevan ki jalan ka geet na poora ga paaun,
yaaron jeven ki uljhi guthi ko,kutch shabdoon mein kya khoolein,
jo padha hai thoda vichar karna,ab isse aage kya bolein.

5 comments:

  1. yaaron jeven ki uljhi guthi ko,kutch shabdoon mein kya khoolein,
    jo padha hai thoda vichar karna,ab isse aage kya bolein

    ji humne vichar bhi kiya aur bhoomigat gahraaiyo ko kaafi had tak samajh bhi gaye....aapki baat dil mein bheetar tak utar gayee....great feelings boss...bahut sundar...i have always been a huge fan of such metamorphical compositions...this is the toughest thing according to me...sach mein this is incredibly good...keep writing,keep sharing

    ReplyDelete
  2. thanx yaar sajal.....i m soo happy the way u reacted to the poem....i would be ever grateful to u for this

    ReplyDelete
  3. gud collection of words nd continuity...meaningful poem...keep going on...

    ReplyDelete
  4. yup...thanx...m waiting to read some of urs :P

    ReplyDelete