Wednesday, July 25, 2007

something on myself......





I donno whether this was to be blogged or not,still confused,but on the advice of one of my friends,its here,hope u get some scene of ur life out of it.......
tarana mein dil ka yun hi gata chala tha,
wakt ne jo samne rakha nibhata chala tha,

bachpan mein khoob mauj udai,
kanchi,khelono se bhi khoob nibhai,
pure ghar ko sir par utha lena,
doston ke gudde guddi ki sagai,
soochta hoon kya haseen wo din the,
kyon na unhi ko badhata chala tha,

fir aati hai school ki yaadein,
kash koi vo mere din vapas la dein,
jhoolon par baith a,b,c,d gana,
ma ka pump ke neche baitha kar nehlana,
rickshaw mein antakshari khelte school jana,
har roj gande kapdoon ka ek naya bahana,
dadi ki kahaniyaan,poore ghar ka pyar,
mano,koi nanha shehjada pala tha,

vo class ki masti,vo teacher pe hooting,
interval ki khichai,tiffin ki looting,
ghar par kharab numbers ke bahane,
karname kitne kiye hain, bhagwan hi jane,
exams ke dino mein bhi chhat par cricket,
plastic ki ball,aur kursi ka wicket,
subah se raat tak,cycle par ghoomna,
birthday ka cake,aur sangeet pe jhoomna,
teacher ki mimicry par,hasi ka sagar,
daant padne par,aankeh bhigata chala tha,

high school mein padhai ki jhanjhat,
model's mein videogame khelna,fir board mein aafat,
worldcup ke match dekhte board ki padhai,
jeet har par shartein,shartoon par ladai,
10th mein noida picnic par gaye the,
poore coach mein school ke students bhare the,
antakshari khelte girls-boys ladna,
train mein sardi ki ratoon ka akadna,
ladakpan ke josh,aur javani ke anushashan par
kyon mein bachpan apna bhulata chala tha,

fir aaye 11th ke maggai ke din,
JEE ki musibat mein kho gaya "tintin",
subah ki school aur sham ka tution,
FIITJEE ke test,arihant ka induction,
fir bhi masti hai khoob udai,
sector 7 school thi mauj ,masti ki khai,
na teachers ka ana,na class mein padhana,
2 peroid attent kar,school se bhaag jana,
tution aur padhai ki musibat ko,
isi tarah mauj mein jalata chala tha,

wo jee exam ke din ka excitement,
exam khatam hote hi,study room se absent,
aieee tak mama ki shadi ki dhoom,
paper ke ek din pehle khola study room,
aieee ka paper khoob makhaya,
fir bhi bheje mein,koi tension nahi aya,
jee ke result par kharab mood,
fir bhi sab ka kehna "very good"
ab lagta hai jo rank mila usi ke layak tha,
na jane kyon ummedein badhata chala tha,

dhanbad mein councelling,kgp mein admission,
is beech na jane jhele,kitne tension,
tha kya meine soocha,kya paya hai meine,
ek poora saal bhar masti mein bitaya hai meine,
hostel ki hullad,roj sham mein bhaat,
class mein der se ane par,prof ki daant
electrical ka paper,chemistry ko magna,
din mein soo jana aaur ratoon mein jagna,
fir aati hai nss camp ki yadein,
kshitij aur sf koi kaise bhulade,
hai paya bahut kutch,bahut kutch hai khoya,
jhaadu bhi lagaya,aur kapde bhi dhoya,
purana vivek kahin kho gaya hai,
collage mein raat jagkar,khud so gaya hai,
garmiyoon mein meine,dhoonda hai khud ko,
kyon lakshaya ko pal pal galata chala tha........

9 comments:

  1. u gv surprisesssssss

    ReplyDelete
  2. this one is awesome

    ReplyDelete
  3. ane school ki yaad a gayi....thanx
    noida camp ki masti sach mein.....

    ReplyDelete
  4. masto blog....loved it

    ReplyDelete
  5. thanx too all of u...bt could u all please comment wid ur names...i would be much more delighted

    ReplyDelete
  6. once again u struck a chord in my heart , imean dude...dis is awesome stuff,really one can see images of the words in front of their eyes...simply gr8 reading this..hope u nver forget who u truly are..coz u are one amazin poet..

    ReplyDelete
  7. hey ....thanxx....we all do miss our times back....our childhood....bed time stories....may god bring us all our innocence of heart and simplicity of words...cheers!!

    ReplyDelete
  8. 2 gud "yaad chali aati hai"...

    ReplyDelete